Is blog mein main apko bataunga ke ap apne Google mein zoom in aur zoom out kaise kar sakte hain. Ye sab main apko images aur simple steps ki madad se samjhaoonga.
Sabse pehle apna Google Chrome open kar lein aur right side mein apko 3 dots ka option milega, uspe click kar dein.
3 dots pe click karne ke baad apke samne ek menu open hoga, apko us menu mein zoom in aur zoom out ka option milega. Ap is se zoom in aur zoom out kar sakte hain.
Shortcut Key:
Ctrl + - text ko chhota karne ke liye
Ctrl + + text ko bada karne ke liye