google ki profile picture kaise change kare

Zain  Shahzad
0

Is blog mein main aapko batunga ke aap Google ki profile picture kaise change kar sakte hain. Google ki profile picture change karna koi mushkil kaam nahi hai aur main isko aur bhi aasaan bana kar aapko batata hoon.

Sabse pehle apna Google Chrome open karen aur phir right side per apna logo dekhein.Logo per click karne ke baad aapko neeche ek pencil ka option milega, us per click kar den.


Aapke samne ek nayi window open hogi jisme aapko do options milenge - ek "remove" aur doosra "change". Agar aap image ko remove karna chahte hain to "remove" per click kar den, warna "change" per click kar den.


"Change" per click karne ke baad aapke samne new window open hogi jisme kuch automated images dikhayi denge. Agar aapko inme se koi pasand aaye to use select kar lein. 



Agar nahi pasand aayi to top bar mein "from computer" ka option nazar aayega, us per click karen. Aapke samne new window open hogi jisme aapko do options milenge - agar aap apni live picture lagana chahte hain to "take live pic" per click karen.



Aur agar aap apne computer se koi image lagana chahte hain to "upload from computer" per click karen. Apni image select kar lein aur "OK" per click kar den. Aapki Google profile picture change ho jayegi.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)