Youtube Main Kisi Video Ya Channel Ko Block Kaise Kare

Zain  Shahzad
1

Is blog mein main aapko YouTube mein kisi bhi video ya YouTube channel ko block karna sikhaunga. Toh kripya mera yeh blog pura padhein, aapko issey bahut kuch seekhne ko milega. Toh phir bina time zaya kiye kaam shuru karte hain.

Is ke liye apne sabse pehle apna YouTube open karna hai. Open karne ke baad apne woh video select karna hai jise aap apne YouTube par block karna chahte hain.


Is ke baad aapko video ke title ke niche 3 dots ka button nazar aayega, aapne us par click karna hai.


3 dots par click karne ke baad kuch options milenge. Agar aap sirf video ko block karna chahte hain to "Not interested" par click kar dein aur agar aap chahte hain ki us YouTube channel ki koi bhi video aapke samne na aaye to "Don't recommend this channel" par click kar dein.

Aapke samne say woh video remove ho jaayegi.

Agar ap ko koi aur problem ho tu mughko comment main zaroor batana.

Post a Comment

1Comments

Post a Comment