Is blog me main aapko bataunga ke agar aapko Search Console mein redirect error aa raha hai to aapko usko kis tarah solve karna hai. Dosto, is error ko solve karna bilkul bhi difficult nahi hai, kuch steps mein is error ko solve kiya ja sakta hai.
Sabse pehle apne apna Search Console ko open kar lena hai aur us link ko copy kar lena hai jis par error aa raha hai. Link ko copy karne ke baad apne apna Google Chrome open kar lena hai aur usme redirect error checker type kar ke enter click kar dena hai. Aur pehle wale website ko open kar lena hai.
Website ko open karne ke baad uske search bar mein us link ko paste kar dena hai jis par redirect error aa raha hai aur niche apko "set user agent" ka option nazar aayega usme apne iPhone 4 select kar lena hai aur "Analyse" per click kar dena hai.
Analyse per click karne ke baad apne scroll down karna hai aur apko 2 links nazar aayenge. Ap us link ko copy karna hai jis ka end per ?m=1 ho.
Link copy karne ke baad apne dubara Search Console mein jana hai aur us link ko URL inspection mein paste kar dena hai aur dubara "Request Indexing" kar dena hai. Kuch der baad apka redirect error khatam ho jayega.