Screenshot Computer Main Kaise Le

Zain  Shahzad
0

Is blog mein main aapko batunga ke aap computer mein screenshot kaise le sakte hain. Computer mein screenshot lena bahut aasan hai. In fact, computer mein screenshot lene ke bahut se tarike hain, is blog mein main aapko un mein se kuch tariqay bataunga.


Computer mein screenshot lene ka sabse aasan tarika yeh hai ki aap sabse pehle apni window ke search bar mein "snipping tool" type karein. Aapke samne aisa tool aayega, isko open karein.


Snipping tool ko open karne ke baad aapko top mein "new" ka option milega, uspe click kar dein. Aapki saari screen white ho jayegi aur aapko us area ko select karna hai jis ka aapko screenshot lena hai.

Area select karne ke baad aapke samne naya screen open hogi jismein aapko top bar mein kuch pencils ke icons milenge. Agar aap apne screenshot par kuch draw karna chahte hain toh kar sakte hain.

Otherwise, "save" ke button par click karke usko save kar lein.

Shortcut Key

Windows Key + Print Screen Key

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)