Aaj ke is blog mein main apko bataunga ke ap kisi bhi website ka traffic, monthly revenue, yearly revenue, total page worth or bhi bohat kuch kaise pata kar sakte hain.
Agar hum kisi website ko target karte hain ya us se compete karne ka try karte hain to hamare liye zaroori hai ke pehle us website ke bare mein jaankari hasil karain. Aur us jaankari ko hasil karne ka tariqa aaj ke is blog mein batunga.
Sabse pehle apna Google Chrome kholen aur usmein site price search kare, pehle wale website ko open karein.
Siteprice.org ko open karne ke baad us website ka URL copy kar lein jis ke bare mein ap jaankari hasil karna chahte hain. Is ke baad ap us website ka URL siteprice.org ke search box mein paste kar dein aur calculate per click kar dein.
Calculate per click karne ke baad ap ke paas us website ki tamam maloomat aa jayegi.